Wednesday, 19 April 2017

LATEST HINDI SHAYARI

Jahan yaad na aaye teri,
Woh tanhaai kis kaam ki.
Bigde rishte na bane,
To khudaai kis kaam ki.
Beshak apni manzil tak jana hai hamein,
Lekin jahaan se apne na dikhein,
Woh oonchaai kis kaam ki!

Ek pahchan hajaro Dost bana deti hain,
Ek muskaan hajaro gum bhula deti hain
Zindagi ke safar me sambhal kar chalna

Yeh bhi ek dua hai khuda se,
Kisi ka dil na dukhe hamari wajah se,
Aye khuda kar de kuchh aisi inaayat hum pe,
Ki khushiyaan hi milein sabko hamaari wajah se.

Utha hua har hath dua ke liye nahi hota,
Jhuka hua har parda hawa ke liye nahi hota,
Apni galtiyon se bhi chirag bhuj jate hai aksar,
Kasoor hawa ka har baar nahi hota…

Ab ho gaya hai aadmi ,
Bikta hai jahaan pyaar bhi saamaan ki tarah,
Pehchaan bhi hai mushkil mukhauton ke daur mein
Dikhta hai bhediya bhi insaan ki tarah!!

Zindagi ki uljhanon ne hamaari sharaaratein kam di,
Aur log samajhne lage ki hum samajhdaar ho gaye.

Ek talwar ki keemat hoti hai uski dhaar se,
Insaan ki keemat hoti hai uske vyavhaar se.

Choo le aasmaan zameen ki talaash na kar,
Jee le zindagi khushi ki talaash na kar,
Takdeer badal jaayegi khud hi mere dost,
Muskurana seekh le wajah ki talaash na kar.

1 comment:
Write comments
  1. Hey admin!! i am very glad to read this article. Thank you so much for sharing with us.
    Plz Check SomeFitness Tips

    ReplyDelete

Services

More Services

© 2014 Love Guru. Designed by Bloggertheme9 | Distributed By Gooyaabi Templates
Powered by Blogger.